tanhai mil saki na ghaDi bhar kisi ke sath
tanhā.ī mil sakī na ghaḌī bhar kisī ke saath
saaya bhī mere saath rahā raushnī ke saath
raushan huā na koī darīcha mire baġhair
ik rabt-e-ḳhās rakhtā huuñ maiñ us galī ke saath
do din kī zindagī meñ bhī dhaḌkā thā hashr kā
karte rahe gunāh magar be-dilī ke saath
maiñ be-amal thā fard-e-amal kaise ban ga.ī
kaisā mazāq hai ye mirī bebasī ke saath
maiñ us ko chhoḌ saktā huuñ 'tāhir' na vo mujhe
ik zindagī bañdhī hai mirī zindagī ke saath
tanhai mil saki na ghaDi bhar kisi ke sath
saya bhi mere sath raha raushni ke sath
raushan hua na koi daricha mere baghair
ek rabt-e-KHas rakhta hun main us gali ke sath
do din ki zindagi mein bhi dhaDka tha hashr ka
karte rahe gunah magar be-dili ke sath
main be-amal tha fard-e-amal kaise ban gai
kaisa mazaq hai ye meri bebasi ke sath
main us ko chhoD sakta hun 'tahir' na wo mujhe
ek zindagi bandhi hai meri zindagi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.