tanhai se jab ukta ke baiTh gaya
tanhā.ī se jab uktā ke baiTh gayā
maiñ phir maiḳhāne meñ aa ke baiTh gayā
patthar ko patthar hī achchhe lagte haiñ
so apne tabqe meñ jā ke baiTh gayā
aaj galī se maiñ ne dekhā thā us ko
chanda chhat par hī sharmā ke baiTh gayā
sāñjh Dhalī to ham bhī apne ghar aa.e
saayā paas hamāre aa ke baiTh gayā
āḳhir ek charāġh ne aisī kyā Thānī
dekho aage aaj havā ke baiTh gayā
logoñ ne pūchhā jab us ke baare meñ
'rāhī' apnī nazm sunā ke baiTh gayā
tanhai se jab ukta ke baiTh gaya
main phir maiKHane mein aa ke baiTh gaya
patthar ko patthar hi achchhe lagte hain
so apne tabqe mein ja ke baiTh gaya
aaj gali se main ne dekha tha us ko
chanda chhat par hi sharma ke baiTh gaya
sanjh Dhali to hum bhi apne ghar aae
saya pas hamare aa ke baiTh gaya
aaKHir ek charagh ne aisi kya Thani
dekho aage aaj hawa ke baiTh gaya
logon ne puchha jab us ke bare mein
'rahi' apni nazm suna ke baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.