tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha
tanhā.iyoñ kā habs mujhe kāTtā rahā
mujh tak pahuñch sakī na tire shahr kī havā
vo qahqahoñ kī sej pe baiThā huā milā
maiñ jis ke dar pe dard kī bārāt le gayā
ik umr justujū meñ guzārī to ye khulā
vo mere paas thā maiñ jise DhūñDhtā rahā
niklā huuñ lafz lafz se maiñ Duub Duub kar
ye terā ḳhat hai yā koī dariyā chaḌhā huā
nazreñ mileñ to vaqt kī raftār tham ga.ī
nāzuk se ek lamhe pe sadiyoñ kā bojh thā
maiñ ne baḌhā ke haath use chhū liyā 'rashīd'
itnā qarīb aaj mire chāñd aa gayā
tanhaiyon ka habs mujhe kaTta raha
mujh tak pahunch saki na tere shahr ki hawa
wo qahqahon ki sej pe baiTha hua mila
main jis ke dar pe dard ki baraat le gaya
ek umr justuju mein guzari to ye khula
wo mere pas tha main jise DhunDhta raha
nikla hun lafz lafz se main Dub Dub kar
ye tera KHat hai ya koi dariya chaDha hua
nazren milen to waqt ki raftar tham gai
nazuk se ek lamhe pe sadiyon ka bojh tha
main ne baDha ke hath use chhu liya 'rashid'
itna qarib aaj mere chand aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.