tanhaiyon ke ghar mein raha hun tamam umr
tanhā.iyoñ ke ghar meñ rahā huuñ tamām 'umr
maiñ kis liye duniyā meñ jiyā huuñ tamām 'umr
tere baġhair aaj mujhe lag rahā hai yuuñ
ik ajnabī nagar meñ basā huuñ tamām 'umr
ā.īna dekhtā hai mujhe aa.ine ko maiñ
yuuñ 'aks 'aks TuuT gayā huuñ tamām 'umr
andar kī tīrgī mujhe kahtī hai baar baar
be-fā.eda jahāñ meñ jalā huuñ tamām 'umr
'premī' koī jo pūchhe merā haal to kahūñ
duniyā meñ ik tamāsha banā huuñ tamām 'umr
tanhaiyon ke ghar mein raha hun tamam 'umr
main kis liye duniya mein jiya hun tamam 'umr
tere baghair aaj mujhe lag raha hai yun
ek ajnabi nagar mein basa hun tamam 'umr
aaina dekhta hai mujhe aaine ko main
yun 'aks 'aks TuT gaya hun tamam 'umr
andar ki tirgi mujhe kahti hai bar bar
be-faeda jahan mein jala hun tamam 'umr
'premi' koi jo puchhe mera haal to kahun
duniya mein ek tamasha bana hun tamam 'umr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.