tanhaiyon ki raat baDi dur tak gai
tanhā.iyoñ kī raat baḌī duur tak ga.ī
chhoTī sī ek baat baḌī duur tak ga.ī
ham to har imtihāñ meñ hue surḳh-rū magar
majbūrī-e-hayāt baḌī duur tak ga.ī
tishna-labī to ziist kā auj-e-kamāl thī
go ki lab-e-furāt baḌī duur tak ga.ī
vā'iz tumhārī jannat-o-dozaḳh kī ḳhair ho
rindoñ kī kā.enāt baḌī duur tak ga.ī
bichhḌe har ek moḌ pe sāthī bahut magar
ik yaad mere saat baḌī duur tak ga.ī
ham ne sabhī ko chāhā muqarrar hudūd meñ
lekin tumhārī zaat baḌī duur tak ga.ī
tanhaiyon ki raat baDi dur tak gai
chhoTi si ek baat baDi dur tak gai
hum to har imtihan mein hue surKH-ru magar
majburi-e-hayat baDi dur tak gai
tishna-labi to zist ka auj-e-kamal thi
go ki lab-e-furaat baDi dur tak gai
wa'iz tumhaari jannat-o-dozaKH ki KHair ho
rindon ki kaenat baDi dur tak gai
bichhDe har ek moD pe sathi bahut magar
ek yaad mere sat baDi dur tak gai
hum ne sabhi ko chaha muqarrar hudud mein
lekin tumhaari zat baDi dur tak gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.