tanhaiyon mein koi bhi shamil nahin mila
tanhā.iyoñ meñ koī bhī shāmil nahīñ milā
jismoñ kī bhiiḌ mil ga.ī par dil nahīñ milā
sab mil gayā kisī se shikāyat nahīñ rahī
jis kī talāsh thī vahī hāsil nahīñ milā
dīvār-o-dar ne zaḳhm to hargiz nahīñ diye
kamre kā pyaar ḳhud meñ mukammal nahīñ milā
dahlīz se saTe hue kuchh peḌ to mile
DhūñDā bahut parindoñ kā qātil nahīñ milā
tanhaiyon mein koi bhi shamil nahin mila
jismon ki bhiD mil gai par dil nahin mila
sab mil gaya kisi se shikayat nahin rahi
jis ki talash thi wahi hasil nahin mila
diwar-o-dar ne zaKHm to hargiz nahin diye
kamre ka pyar KHud mein mukammal nahin mila
dahliz se saTe hue kuchh peD to mile
DhunDa bahut parindon ka qatil nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.