tanhaiyon mein kya kahun kya yaad aa gaya
tanhaiyon mein kya kahun kya yaad aa gaya
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
tanhā.iyoñ meñ kyā kahūñ kyā yaad aa gayā
afsāna ek bhūlā huā yaad aa gayā
āsāñ samajh ke manzil-e-jānāñ pe ho liye
vo mushkileñ paḌī ki ḳhudā yaad aa gayā
samjhā thā maiñ ki dil meñ vo ab mahv ho chukā
pahle se bhī magar vo sivā yaad aa gayā
dil ne fareb ishq meñ khaa.e haiñ baar baar
har baar dil ko ahd-e-vafā yaad aa gayā
merā sar-e-ġhurūr nadāmat se jhuk gayā
us kā karam jo mujh ko zarā yaad aa gayā
gumnām thā 'habīb' aur gumnām chal diyā
us kā magar vo sidq-o-safā yaad aa gayā
tanhaiyon mein kya kahun kya yaad aa gaya
afsana ek bhula hua yaad aa gaya
aasan samajh ke manzil-e-jaanan pe ho liye
wo mushkilen paDi ki KHuda yaad aa gaya
samjha tha main ki dil mein wo ab mahw ho chuka
pahle se bhi magar wo siwa yaad aa gaya
dil ne fareb ishq mein khae hain bar bar
har bar dil ko ahd-e-wafa yaad aa gaya
mera sar-e-ghurur nadamat se jhuk gaya
us ka karam jo mujh ko zara yaad aa gaya
gumnam tha 'habib' aur gumnam chal diya
us ka magar wo sidq-o-safa yaad aa gaya
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 120)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.