tanḳhvāh-e-tabar bahr-e-daraḳhtān-e-kuhan hai
jo shāḳh phalī hai vo bar-āvard-e-chaman hai
gulshan se anādil ko qafas meñ hai sivā chain
ārām jahāñ ho vo ġharīboñ kā vatan hai
hai ālam-e-tiflī se ayaañ maut kā sāmāñ
ġhunche kā jo malbūs hai vo gul kā kafan hai
hai hukm ki marne meñ na ab der lagā.eñ
ye qaid faqat bahr-e-asīrān-e-kuhan hai
ai zo.af ye chhuTnā hai mujhe qaid se bad-tar
jo tār-e-nafas hai mirī gardan meñ rasan hai
tanKHwah-e-tabar bahr-e-daraKHtan-e-kuhan hai
jo shaKH phali hai wo bar-award-e-chaman hai
gulshan se anadil ko qafas mein hai siwa chain
aaram jahan ho wo gharibon ka watan hai
hai aalam-e-tifli se ayan maut ka saman
ghunche ka jo malbus hai wo gul ka kafan hai
hai hukm ki marne mein na ab der lagaen
ye qaid faqat bahr-e-asiran-e-kuhan hai
ai zoaf ye chhuTna hai mujhe qaid se bad-tar
jo tar-e-nafas hai meri gardan mein rasan hai
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-155 page-136)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.