tanqid karo KHub magar dekhte rahna
tanqīd karo ḳhuub magar dekhte rahnā
be-kār na jā.egā hunar dekhte rahnā
ham biich samundar se guhar le ke haiñ aa.e
tum baiTh ke sāhil pe lahar dekhte rahnā
aa.ī na kabhī lauT ke phir fasl-e-bahārāñ
be-sūd gayā merā Dagar dekhte rahnā
tum shor machāo ki jalā do ye badan bhī
hogā na kabhī un pe asar dekhte rahnā
jis samt chalā nuur usī samt añdherā
tā-hashr rahegā ye safar dekhte rahnā
nafrat ke añdheroñ ko mohabbat ne harāyā
aḳhbār meñ aa.egī ḳhabar dekhte rahnā
'sābir' ko bhalā kaun yahāñ jaan rahā hai
jo hai vo na aa.egā nazar dekhte rahnā
tanqid karo KHub magar dekhte rahna
be-kar na jaega hunar dekhte rahna
hum bich samundar se guhar le ke hain aae
tum baiTh ke sahil pe lahar dekhte rahna
aai na kabhi lauT ke phir fasl-e-bahaaran
be-sud gaya mera Dagar dekhte rahna
tum shor machao ki jala do ye badan bhi
hoga na kabhi un pe asar dekhte rahna
jis samt chala nur usi samt andhera
ta-hashr rahega ye safar dekhte rahna
nafrat ke andheron ko mohabbat ne haraya
aKHbar mein aaegi KHabar dekhte rahna
'sabir' ko bhala kaun yahan jaan raha hai
jo hai wo na aaega nazar dekhte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.