tanur-e-waqt ki hiddat se Dar gae hum bhi
tanūr-e-vaqt kī hiddat se Dar ga.e ham bhī
magar tapish meñ tape to nikhar ga.e ham bhī
jahāñ pahuñch ke musāfir ke ruḳh badalte haiñ
rah-e-hayāt ke us moḌ par ga.e ham bhī
jalā diyā thā safīna utar ke sāhil par
junūn-e-fat.h meñ kyā kyā na kar ga.e ham bhī
jadīd rañg se maddham huā na rañg-e-kuhan
qadīm rañg meñ vo rañg bhar ga.e ham bhī
qadam qadam pe sitam sah ke jī rahe the jise
usī hayāt kī bāñhoñ meñ mar ga.e ham bhī
na kuchh junūn-e-tajassus kā pūchhiye aalam
kahāñ kahāñ se na 'kausar' guzar ga.e ham bhī
tanur-e-waqt ki hiddat se Dar gae hum bhi
magar tapish mein tape to nikhar gae hum bhi
jahan pahunch ke musafir ke ruKH badalte hain
rah-e-hayat ke us moD par gae hum bhi
jala diya tha safina utar ke sahil par
junun-e-fath mein kya kya na kar gae hum bhi
jadid rang se maddham hua na rang-e-kuhan
qadim rang mein wo rang bhar gae hum bhi
qadam qadam pe sitam sah ke ji rahe the jise
usi hayat ki banhon mein mar gae hum bhi
na kuchh junun-e-tajassus ka puchhiye aalam
kahan kahan se na 'kausar' guzar gae hum bhi
- Book : Junoon Ki Aagahi (Pg. 125)
- Author : Kausar Siwani
- Publication : Arshia Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.