tanz karta hai aaina mujh par
tanz kartā hai aa.ina mujh par
vaqt kaisā ye aa paḌā mujh par
ek halkī sī zarb maarī thī
shahr saarā hī aa paḌā mujh par
aisā lagne lagā hai ab mujh ko
har musībat kī intihā mujh par
jaan de kar hī ho sakā hai adā
ka.ī sadiyoñ kā qarz thā mujh par
sūra-e-nās paḌhtā rahtā huuñ
koī jaadū na chal sakā mujh par
DhūñDne ek bhī nahīñ niklā
sabhī paḌhte haiñ fātiha mujh par
umr guzrī vafā-shi.ārī meñ
qatl honā bhī farz thā mujh par
log karte ga.e karam pe karam
qarz baḌhtā chalā gayā mujh par
chaltā rahtā huuñ bin thake 'parvez'
khultā jaatā hai rāsta mujh par
tanz karta hai aaina mujh par
waqt kaisa ye aa paDa mujh par
ek halki si zarb mari thi
shahr sara hi aa paDa mujh par
aisa lagne laga hai ab mujh ko
har musibat ki intiha mujh par
jaan de kar hi ho saka hai ada
kai sadiyon ka qarz tha mujh par
sura-e-nas paDhta rahta hun
koi jadu na chal saka mujh par
DhunDne ek bhi nahin nikla
sabhi paDhte hain fatiha mujh par
umr guzri wafa-shiari mein
qatl hona bhi farz tha mujh par
log karte gae karam pe karam
qarz baDhta chala gaya mujh par
chalta rahta hun bin thake 'parwez'
khulta jata hai rasta mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.