tanz ke patthar musalsal hum pe barsate rahe
tanz ke patthar musalsal hum pe barsate rahe
Ikramullah Khan Azhar
MORE BYIkramullah Khan Azhar
tanz ke patthar musalsal ham pe barsāte rahe
kuchh karam ahbāb apne yuuñ bhī farmāte rahe
ishq kā ilzām tanhā kyoñ rahe mere hī sar
dam-ba-dam tum bhī to merī raah meñ aate rahe
shor meñ āvāz un kī koī bhī suntā na thā
bhiiḌ meñ kitne gadāgar haath phailāte rahe
aap ne shāyad hamārā hausla dekhā nahīñ
zaḳhm khā kar dostoñ par phuul barsāte rahe
ġhair mumkin thā zamāne meñ mire dil kā ilaaj
jaane kyā kyā kah ke ham ko log bahlāte rahe
us kī yādoñ se sajā.ī apnī bazm-e-ārzū
dil ko tanhā.ī meñ 'az.har' yuuñ bhī bahlāte rahe
tanz ke patthar musalsal hum pe barsate rahe
kuchh karam ahbab apne yun bhi farmate rahe
ishq ka ilzam tanha kyon rahe mere hi sar
dam-ba-dam tum bhi to meri rah mein aate rahe
shor mein aawaz un ki koi bhi sunta na tha
bhiD mein kitne gadagar hath phailate rahe
aap ne shayad hamara hausla dekha nahin
zaKHm kha kar doston par phul barsate rahe
ghair mumkin tha zamane mein mere dil ka ilaj
jaane kya kya kah ke hum ko log bahlate rahe
us ki yaadon se sajai apni bazm-e-arzu
dil ko tanhai mein 'azhar' yun bhi bahlate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.