tanz ke tir-o-nashtar is par komal aur rasile honT
tanz ke tīr-o-nashtar is par komal aur rasīle hoñT
jin kā maarā maañg na paa.e paanī vo zahrīle hoñT
mujh ko dilāse dene vaale pahle apnā haal to dekh
champa.ī aariz utrā chehra suunī āñkheñ piile hoñT
jaan ga.e ai shoḳh tujhe ai ahd-shikan pahchān ga.e
kahtī hai kuchh aur hī chitvan laakh tarāsheñ hiile hoñT
mai kī mazammat aur janāb-e-shaiḳh phir is chaTḳhāre se
raal yaqīnan Tapkī hogī varna kyoñ haiñ giile hoñT
dil par ḳhanjar chale 'mubārak' lekin tū fariyād na kar
zabt-e-mohabbat kā hai taqāzā is mahfil meñ sī le hoñT
tanz ke tir-o-nashtar is par komal aur rasile honT
jin ka mara mang na pae pani wo zahrile honT
mujh ko dilase dene wale pahle apna haal to dekh
champai aariz utra chehra suni aankhen pile honT
jaan gae ai shoKH tujhe ai ahd-shikan pahchan gae
kahti hai kuchh aur hi chitwan lakh tarashen hile honT
mai ki mazammat aur janab-e-shaiKH phir is chaTKHare se
ral yaqinan Tapki hogi warna kyon hain gile honT
dil par KHanjar chale 'mubarak' lekin tu fariyaad na kar
zabt-e-mohabbat ka hai taqaza is mahfil mein si le honT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.