Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya ki do-rangi dekho to jab ghar mein faqe hote hain

Boom Merathi

duniya ki do-rangi dekho to jab ghar mein faqe hote hain

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    duniyā do-rangī dekho to jab ghar meñ faaqe hote haiñ

    vo dekh ke ham ko hañste haiñ vo dekh ke ham ko rote haiñ

    faiyyaz milī hai vo biivī sālāna bachche hote haiñ

    kuchh is karvaT meñ rote haiñ kuchh us karvaT meñ rote haiñ

    kuchh naak meñ dam iflās se hai kuchh naak meñ dam aulād se hai

    ik jānib faaqa hotā hai ik jānib bachche hote haiñ

    jo chhoTī moTī qaumeñ haiñ duniyā meñ maza uḌātī haiñ

    jo ḳhāndān ke achchhe haiñ bhaTToñ pe īñTeñ Dhote haiñ

    jab raat hotī in bachchoñ se bas kil-bil kil-bil rahtī hai

    kuchh jāgte haiñ kuchh sote haiñ kuchh hañste haiñ kuchh rote haiñ

    ġhārat hoñ ḳhudā hajjām kahīñ nāpaid kahīñ ye dhobī hoñ

    ek aana hajāmat lete haiñ ek aana kapḌā dhote haiñ

    ye hastī bhī kuchh hastī hai ye jiinā bhī kuchh jiinā hai

    do din khāne ko miltā hai aur do din faaqe hote haiñ

    go laakh nahūsat ho ghar meñ poshish to saaf aur suthrī hai

    rupya sābun kar ham ghar meñ kapḌe dhote haiñ

    ash.ār sune jab 'būm' ke kuchh farmāyā ham bhī vāqif haiñ

    vo chhoTe ḳhaañ ke beTe haiñ vo vazīr ḳhaañ ke pote haiñ

    duniya ki do-rangi dekho to jab ghar mein faqe hote hain

    wo dekh ke hum ko hanste hain wo dekh ke hum ko rote hain

    faiyyaz mili hai wo biwi salana bachche hote hain

    kuchh is karwaT mein rote hain kuchh us karwaT mein rote hain

    kuchh nak mein dam iflas se hai kuchh nak mein dam aulad se hai

    ek jaanib faqa hota hai ek jaanib bachche hote hain

    jo chhoTi moTi qaumen hain duniya mein maza uDati hain

    jo KHandan ke achchhe hain bhaTTon pe inTen Dhote hain

    jab raat hoti in bachchon se bas kil-bil kil-bil rahti hai

    kuchh jagte hain kuchh sote hain kuchh hanste hain kuchh rote hain

    ghaarat hon KHuda hajjam kahin napaid kahin ye dhobi hon

    ek aana hajamat lete hain ek aana kapDa dhote hain

    ye hasti bhi kuchh hasti hai ye jina bhi kuchh jina hai

    do din khane ko milta hai aur do din faqe hote hain

    go lakh nahusat ho ghar mein poshish to saf aur suthri hai

    rupya ka sabun la kar hum ghar mein hi kapDe dhote hain

    ashaar sune jab 'bum' ke kuchh farmaya hum bhi waqif hain

    wo chhoTe KHan ke beTe hain wo wazir KHan ke pote hain

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 94)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now