tapte hue sahra mein shajar DhunD raha hun
tapte hue sahrā meñ shajar DhūñD rahā huuñ
milnā hai go dushvār magar DhūñD rahā huuñ
sūkhe hue patte bhī nahīñ jin ke badan par
maiñ aise daraḳhtoñ pe samar DhūñD rahā huuñ
ye dasht-e-jahālat hai yahāñ kufr hai idrāk
is dasht meñ kyoñ ilm-o-hunar DhūñD rahā huuñ
duniyā to bahut tang huī jaatī hai yaaro
ye soch ke aflāk meñ ghar DhūñD rahā huuñ
taḳh.īl kī parvāz ko jo sher meñ Dhāle
aḳhbār meñ ik aisī ḳhabar DhūñD rahā huuñ
tang aa ke ġhazabnāk añdheroñ ke safar se
maiñ 'shād' ujāloñ kī Dagar DhūñD rahā huuñ
tapte hue sahra mein shajar DhunD raha hun
milna hai go dushwar magar DhunD raha hun
sukhe hue patte bhi nahin jin ke badan par
main aise daraKHton pe samar DhunD raha hun
ye dasht-e-jahaalat hai yahan kufr hai idrak
is dasht mein kyon ilm-o-hunar DhunD raha hun
duniya to bahut tang hui jati hai yaro
ye soch ke aflak mein ghar DhunD raha hun
taKHil ki parwaz ko jo sher mein Dhaale
aKHbar mein ek aisi KHabar DhunD raha hun
tang aa ke ghazabnak andheron ke safar se
main 'shad' ujalon ki Dagar DhunD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.