tapte sahra mein kahin koi shajar aata hai
tapte sahrā meñ kahīñ koī shajar aatā hai
dard par tark-e-sukūnat kā asar aatā hai
sadma-e-hijr se mahfūz rakhūñgā tujh ko
mujh ko qistoñ meñ bichhaḌne kā hunar aatā hai
din guzar jaatā hai ta.abīr kī hasrat le kar
raat hotī hai to phir ḳhvāb utar aatā hai
jab se jaane haiñ mohabbat ke favā.ed ham ne
ek hī shaḳhs ka.ī baar nazar aatā hai
dard-e-furqat meñ tirī āñkheñ faqat giilī huiiñ
merī āñkhoñ meñ miyāñ laal color aatā hai
hijr kī shab mire pahlū meñ rahā terī tarah
vo sitāra jo bahut duur nazar aatā hai
koī āvārgī-e-shahr se bach hī na sakā
ab parinda bhī kahāñ shaam ko ghar aatā hai
mujh ko chamkā ga.ī 'āfāq' baḌoñ kī sohbat
jaise qatre pe samundar kā asar aatā hai
tapte sahra mein kahin koi shajar aata hai
dard par tark-e-sukunat ka asar aata hai
sadma-e-hijr se mahfuz rakhunga tujh ko
mujh ko qiston mein bichhaDne ka hunar aata hai
din guzar jata hai tabir ki hasrat le kar
raat hoti hai to phir KHwab utar aata hai
jab se jaane hain mohabbat ke fawaed hum ne
ek hi shaKHs kai bar nazar aata hai
dard-e-furqat mein teri aankhen faqat gili huin
meri aankhon mein miyan lal color aata hai
hijr ki shab mere pahlu mein raha teri tarah
wo sitara jo bahut dur nazar aata hai
koi aawargi-e-shahr se bach hi na saka
ab parinda bhi kahan sham ko ghar aata hai
mujh ko chamka gai 'afaq' baDon ki sohbat
jaise qatre pe samundar ka asar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.