taqaze dahr ke denge faragh bhi kab tak
taqāze dahr ke deñge farāġh bhī kab tak
rahegā arsh pe terā dimāġh bhī kab tak
rahegī raushnī kab tak ye dastaras meñ mirī
jalegā mere lahū se charāġh bhī kab tak
zamīr-o-dil kī sadā sunte hī nahīñ ho tum
ki degā saath tumhārā dimāġh bhī kab tak
patā nahīñ ye mire dil ko bhī hai jis kī talāsh
milegā us kā na jaane surāġh bhī kab tak
taqaze dahr ke denge faragh bhi kab tak
rahega arsh pe tera dimagh bhi kab tak
rahegi raushni kab tak ye dastaras mein meri
jalega mere lahu se charagh bhi kab tak
zamir-o-dil ki sada sunte hi nahin ho tum
ki dega sath tumhaara dimagh bhi kab tak
pata nahin ye mere dil ko bhi hai jis ki talash
milega us ka na jaane suragh bhi kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.