taqaze hain shayad yahi aaj-kal ke
taqāze haiñ shāyad yahī āj-kal ke
bahāroñ meñ rakh deñ guloñ ko masal ke
mirī talḳh thī muskurāhaT kuchh aisī
ġham-e-zindagī rah gayā haath mal ke
hameñ kyā Darāte ho miTne ke Dar se
zamāna na rakh de tumheñ ḳhud kuchal ke
fazā meñ ye dhīmī sī aahaT hai kaisī
sabā hai ki un ke qadam halke halke
ye dil hai shikasta umīdoñ kī bastī
yahāñ ā.iyegā sambhal ke sambhal ke
ajab hai ye duniyā ajab us kī rasmeñ
kahīñ par ujāle kahīñ par dhundalke
na kī maiñ ne taqlīd-e-shaiḳh-o-barahman
ḳhudā mil gayā is bhañvar se nikal ke
sunā hai bahisht-e-zamīñ mai-kada hai
chalo 'tāhira' dekh leñ kyoñ na chal ke
taqaze hain shayad yahi aaj-kal ke
bahaaron mein rakh den gulon ko masal ke
meri talKH thi muskurahaT kuchh aisi
gham-e-zindagi rah gaya hath mal ke
hamein kya Daraate ho miTne ke Dar se
zamana na rakh de tumhein KHud kuchal ke
faza mein ye dhimi si aahaT hai kaisi
saba hai ki un ke qadam halke halke
ye dil hai shikasta umidon ki basti
yahan aaiyega sambhal ke sambhal ke
ajab hai ye duniya ajab us ki rasmen
kahin par ujale kahin par dhundalke
na ki main ne taqlid-e-shaiKH-o-barahman
KHuda mil gaya is bhanwar se nikal ke
suna hai bahisht-e-zamin mai-kada hai
chalo 'tahira' dekh len kyon na chal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.