taqdir-e-ishq aah-o-fughan ke siwa hai kya
taqdīr-e-ishq āh-o-fuġhāñ ke sivā hai kyā
farmā.iye ki āh-o-fuġhāñ nāravā hai kyā
rangīnī-e-jahāñ bhī hai kis darja dil-fareb
aur vaqt-e-be-niyāz bhī sīmāb-pā hai kyā
ai lutf-e-nā-tamām tire lutf ke nisār
juz dard hasrat-e-dil-e-dard-āshnā hai kyā
mujh se ye kah rahā hai ki tauba kī fikr kar
abr-e-siyāh mai-kade par chhā gayā hai kyā
mere jigar ke daaġh kī azmat na pochhiye
us ke huzūr lāla-e-ātish-qabā hai kyā
dāman hai tār-tār kabhī dil hai chāk-chāk
'fitrat' tumhāre dard-e-junūñ kī davā hai kyā
taqdir-e-ishq aah-o-fughan ke siwa hai kya
farmaiye ki aah-o-fughan narawa hai kya
rangini-e-jahan bhi hai kis darja dil-fareb
aur waqt-e-be-niyaz bhi simab-pa hai kya
ai lutf-e-na-tamam tere lutf ke nisar
juz dard hasrat-e-dil-e-dard-ashna hai kya
mujh se ye kah raha hai ki tauba ki fikr kar
abr-e-siyah mai-kade par chha gaya hai kya
mere jigar ke dagh ki azmat na pochhiye
us ke huzur lala-e-atish-qaba hai kya
daman hai tar-tar kabhi dil hai chaak-chaak
'fitrat' tumhaare dard-e-junun ki dawa hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.