taqdir-e-shama jalwa-e-jaanana ban gaya
taqdīr-e-sham.a jalva-e-jānāna ban gayā
sho.ala uThā jo us se to pardā na ban gayā
jo hāl-e-dil thā kaif meñ tāsīr-e-dard thā
vo kahte kahte shauq kā afsāna ban gayā
jannat kī aarzū se hai jannat kā kal vajūd
vīrāna kah diyā jise vīrāna ban gayā
yak qatra dil thā mast kā paimāna-e-nasīb
saaqī ne kī nigāh to mai-ḳhāna ban gayā
mauqa.a-shanās husn-e-mohabbat ke baab meñ
apnā thā aur hashr meñ begāna ban gayā
us kī talab meñ jab na rahā us kā kuchh lihāz
andāz-e-be-qarār gadāyāna ban gayā
yuuñ apne dar se Taal diyā us ke naaz ne
andāz-e-lutf-e-ḳhās karīmāna ban gayā
'kaifī' haram ke dar pe thā jo kuchh vo faiz thā
haañ but-kade meñ sajda-e-shukrāna ban gayā
taqdir-e-shama jalwa-e-jaanana ban gaya
shoala uTha jo us se to parda na ban gaya
jo haal-e-dil tha kaif mein tasir-e-dard tha
wo kahte kahte shauq ka afsana ban gaya
jannat ki aarzu se hai jannat ka kal wajud
virana kah diya jise virana ban gaya
yak qatra dil tha mast ka paimana-e-nasib
saqi ne ki nigah to mai-KHana ban gaya
mauqa-shanas husn-e-mohabbat ke bab mein
apna tha aur hashr mein begana ban gaya
us ki talab mein jab na raha us ka kuchh lihaz
andaz-e-be-qarar gadayana ban gaya
yun apne dar se Tal diya us ke naz ne
andaz-e-lutf-e-KHas karimana ban gaya
'kaifi' haram ke dar pe tha jo kuchh wo faiz tha
han but-kade mein sajda-e-shukrana ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.