taqdir-e-wafa ka phuT jaana
taqdīr-e-vafā kā phuuT jaanā
maiñ bhūlā na dil kā TuuT jaanā
kyā detā rahegā dil pe dastak
ik jumla jo maiñ ne jhuuT jaanā
ik sūrat utārnā ġhazal meñ
lafzoñ kā pasīnā chhūT jaanā
kyā ro.uuñ tujhe ai dhyān-darpan
pal bhar meñ hai tujh ko TuuT jaanā
kis darja surūr-baḳhsh thā vo
us kūche meñ jhūT-mūT jaanā
ruk jā.egā saath dhaḌkanoñ ke
ḳhāmoshī kā TūT-phūT jaanā
vo aanā kisī kā dil meñ 'rāġhib'
aur sabr-o-qarār luuT jaanā
taqdir-e-wafa ka phuT jaana
main bhula na dil ka TuT jaana
kya deta rahega dil pe dastak
ek jumla jo main ne jhuT jaana
ek surat utarna ghazal mein
lafzon ka pasina chhuT jaana
kya roun tujhe ai dhyan-darpan
pal bhar mein hai tujh ko TuT jaana
kis darja surur-baKHsh tha wo
us kuche mein jhuT-muT jaana
ruk jaega sath dhaDkanon ke
KHamoshi ka TuT-phuT jaana
wo aana kisi ka dil mein 'raghib'
aur sabr-o-qarar luT jaana
- Book : Khayal-e-Chehra (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.