taqdir ka fasana ja kar kise sunaen
taqdīr kā fasāna jā kar kise sunā.eñ
is dil meñ jal rahī haiñ armān kī chitāeñ
sāñsoñ meñ aaj mere tūfān uTh rahe haiñ
shahnā.iyoñ se kah do kahīñ aur jā ke gaa.eñ
matvāle chāñd sūraj terā uThā.eñ Dolā
tujh ko ḳhushī kī pariyāñ ghar tere le ke jaa.eñ
tum to raho salāmat sehrā tumheñ mubārak
merā har ek aañsū dene lagā duā.eñ
taqdir ka fasana ja kar kise sunaen
is dil mein jal rahi hain arman ki chitaen
sanson mein aaj mere tufan uTh rahe hain
shahnaiyon se kah do kahin aur ja ke gaen
matwale chand suraj tera uThaen Dola
tujh ko KHushi ki pariyan ghar tere le ke jaen
tum to raho salamat sehra tumhein mubarak
mera har ek aansu dene laga duaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.