taqdir kab talak ye rakhegi Dhalan mein
taqdīr kab talak ye rakhegī Dhalān meñ
tadbīr le uḌegī mujhe āsmān meñ
ab aur sabr kā tujhe kyā chāhiye ḳhirāj
maiñ ne to apnī jaan bhī de dī lagān meñ
us kā bhī aaj beTā huā maut kā shikār
jo bechtā thā naqlī davā.eñ dukān meñ
tafrīq kā marīz ta.assub kā ho shikār
aisā nahīñ hai koī mere ḳhāndān meñ
shahr-e-adab meñ DhūñDnā mushkil nahīñ mujhe
maiñ huuñ kirā.e-dār ġhazal ke makān meñ
'saifī' miThās kis meñ hai itnī batā.iye
jitnī miThās hai merī urdu zabān meñ
taqdir kab talak ye rakhegi Dhalan mein
tadbir le uDegi mujhe aasman mein
ab aur sabr ka tujhe kya chahiye KHiraj
main ne to apni jaan bhi de di lagan mein
us ka bhi aaj beTa hua maut ka shikar
jo bechta tha naqli dawaen dukan mein
tafriq ka mariz tassub ka ho shikar
aisa nahin hai koi mere KHandan mein
shahr-e-adab mein DhunDna mushkil nahin mujhe
main hun kirae-dar ghazal ke makan mein
'saifi' miThas kis mein hai itni bataiye
jitni miThas hai meri urdu zaban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.