taqdir ke KHutut mein uljhi hui hun main
taqdīr ke ḳhutūt meñ uljhī huī huuñ maiñ
ḳhud apne vāste hī pahelī huī huuñ maiñ
ye rang ruup pahle to aisā na thā mirā
is zindagī kī dhuup se mailī huī huuñ maiñ
kar to diyā hai us ne mujhe dil-ba-dar magar
kājal sī us kī aañkh meñ phailī huī huuñ maiñ
kis kī galī kā jhoñkā mujhe aa ke chhū gayā
is mausam-e-ḳhizāñ meñ bhī mahkī huī huuñ maiñ
us kī nazar meñ kitnī tamāzat thī ai 'nigār'
muddat huī par aaj bhī pighlī huī huuñ meñ
taqdir ke KHutut mein uljhi hui hun main
KHud apne waste hi paheli hui hun main
ye rang rup pahle to aisa na tha mera
is zindagi ki dhup se maili hui hun main
kar to diya hai us ne mujhe dil-ba-dar magar
kajal si us ki aankh mein phaili hui hun main
kis ki gali ka jhonka mujhe aa ke chhu gaya
is mausam-e-KHizan mein bhi mahki hui hun main
us ki nazar mein kitni tamazat thi ai 'nigar'
muddat hui par aaj bhi pighli hui hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.