taqsim tazkire ko main kaise raqam karun
taqsīm tazkire ko maiñ kaise raqam karūñ
tanhā.iyoñ meñ baiThūñ ki āñkhoñ ko nam karūñ
hirs-o-havas ke saath bhī faanī hai zindagī
kyā is ke vāste koī sāmāñ baham karūñ
baḌhne lagā hai silsila-e-etimād phir
is silsile ko aur baḌhā.ūñ ki kam karūñ
tū phir se aa gayā hai mirī zindagī meñ dost
is baat kā maiñ lutf uThā.ūñ ki ġham karūñ
maqsad hai mere sāmne apnī shanāḳht kā
pāmāl rāstoñ ko maiñ kyuuñ ham-qadam karūñ
taqsim tazkire ko main kaise raqam karun
tanhaiyon mein baiThun ki aankhon ko nam karun
hirs-o-hawas ke sath bhi fani hai zindagi
kya is ke waste koi saman baham karun
baDhne laga hai silsila-e-etimad phir
is silsile ko aur baDhaun ki kam karun
tu phir se aa gaya hai meri zindagi mein dost
is baat ka main lutf uThaun ki gham karun
maqsad hai mere samne apni shanaKHt ka
pamal raston ko main kyun ham-qadam karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.