taqwe ke liye jannat-o-kausar hue maKHsus
taqve ke liye jannat-o-kausar hue maḳhsūs
rindī ke liye shīsha-o-sāġhar hue maḳhsūs
pābandi-e-ahkām-e-sharī.at hai vahāñ farz
rindoñ ko ruḳh-e-sāqī-o-sāġhar hue maḳhsūs
qaa.em hai vahāñ diin bhī duniyā bhī ba-ummīd
ham ko karam-e-rahmat-e-dāvar hue maḳhsūs
sheḳhī hai vahāñ jubba-o-dastār pe mauqūf
rindī ko yahāñ tark-e-tan-o-sar hue maḳhsūs
hai kashf-o-karāmāt vahāñ māya-e-pindār
saudā aur ziyāñ ham ko barābar hue maḳhsūs
haiñ ḳhirqa-o-ammāma vahāñ pīr-e-tarīqat
yaañ kufr-o-sanam hādī-o-rahbar hue maḳhsūs
mauqūf jo īmāñ pe rahe masjid-o-mimbar
'sāhir' ko sanam-ḳhāna-o-sāġhar hue maḳhsūs
taqwe ke liye jannat-o-kausar hue maKHsus
rindi ke liye shisha-o-saghar hue maKHsus
pabandi-e-ahkaam-e-shariat hai wahan farz
rindon ko ruKH-e-saqi-o-saghar hue maKHsus
qaem hai wahan din bhi duniya bhi ba-ummid
hum ko karam-e-rahmat-e-dawar hue maKHsus
sheKHi hai wahan jubba-o-dastar pe mauquf
rindi ko yahan tark-e-tan-o-sar hue maKHsus
hai kashf-o-karamat wahan maya-e-pindar
sauda aur ziyan hum ko barabar hue maKHsus
hain KHirqa-o-ammama wahan pir-e-tariqat
yan kufr-o-sanam hadi-o-rahbar hue maKHsus
mauquf jo iman pe rahe masjid-o-mimbar
'sahir' ko sanam-KHana-o-saghar hue maKHsus
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.