Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tar hua dida-e-bina to ghazal bolegi

Jaani Lakhnavi

tar hua dida-e-bina to ghazal bolegi

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    tar huā dīda-e-bīnā to ġhazal bolegī

    paikar-e-dard jo simTā to ġhazal bolegī

    itnī 'ujlat meñ nahīñ chaltā suḳhan jaadū

    tum kabhī ġhaur se sunñā to ġhazal bolegī

    ek ik she'r khilegā to khileñgī ġhazleñ

    falsafa she'r meñ hogā to ġhazal bolegī

    mere lahje se pareshānī hai tujh ko sun le

    maiñ jo ḳhāmosh rahūñgā to ġhazal bolegī

    soch par qabza hai shohrat to bole kaise

    rang ḳhalvat chaḌhegā to ġhazal bolegī

    tar hua dida-e-bina to ghazal bolegi

    paikar-e-dard jo simTa to ghazal bolegi

    itni 'ujlat mein nahin chalta suKHan ka jadu

    tum kabhi ghaur se sunna to ghazal bolegi

    ek ek she'r khilega to khilengi ghazlen

    falsafa she'r mein hoga to ghazal bolegi

    mere lahje se pareshani hai tujh ko sun le

    main jo KHamosh rahunga to ghazal bolegi

    soch par qabza hai shohrat ka to bole kaise

    rang KHalwat ka chaDhega to ghazal bolegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now