tarasha hai tujhe jis ne laDakpan mein jawani mein
tarāshā hai tujhe jis ne laḌakpan meñ javānī meñ
hamesha yaad rakhnā tū use apnī kahānī meñ
bharosa naam kī shai ne mujhe kuchh is tarah luuTā
jise denā thā gul us ne diye kāñTe nishānī meñ
tirī ḳhātir abhī zinda hai jis kī aañkh kā paanī
Dubo saktā nahīñ hargiz vo terā naam paanī meñ
hameñ 'unvān honā chāhiye thā jis kahānī kā
hamārā zikr tak hotā nahīñ hai us kahānī meñ
ḳhushī ke mauqa' par aañsū nahīñ vo rok paatā hai
mile hoñ har ghaḌī aañsū jise is zindagānī meñ
maiñ sāhil kā huuñ bāshinda mirā mushkil hai bach paanā
bahā le jā.egā dariyā mujhe apnī ravānī meñ
jise hāsil nahīñ hotā kabhī bhī peT-bhar bhojan
bhalā kaise chalātā hogā ghar itnī girānī meñ
tarasha hai tujhe jis ne laDakpan mein jawani mein
hamesha yaad rakhna tu use apni kahani mein
bharosa nam ki shai ne mujhe kuchh is tarah luTa
jise dena tha gul us ne diye kanTe nishani mein
teri KHatir abhi zinda hai jis ki aankh ka pani
Dubo sakta nahin hargiz wo tera nam pani mein
hamein 'unwan hona chahiye tha jis kahani ka
hamara zikr tak hota nahin hai us kahani mein
KHushi ke mauqa' par aansu nahin wo rok pata hai
mile hon har ghaDi aansu jise is zindagani mein
main sahil ka hun bashinda mera mushkil hai bach pana
baha le jaega dariya mujhe apni rawani mein
jise hasil nahin hota kabhi bhi peT-bhar bhojan
bhala kaise chalata hoga ghar itni girani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.