tarab ke maKHmase gham ke jhamele
tarab ke maḳhmase ġham ke jhamele
dil-e-nādāñ ne lākhoñ khel khele
ga.e ik ek kar ke ham-safar sab
hamīñ zinda haiñ marne ko akele
ġham-e-daurāñ se utnī baar haare
ġham-e-jānāñ se jitnī baar khele
dil āḳhir taab laatā bhī to kab tak
qayāmat the tamannāoñ ke rele
ye duniyā ḳhatm ho jā.egī āḳhir
na hoñge ḳhatm duniyā ke jhamele
na koī ham-ḳhayāl ai 'arsh' paayā
rahe ham anjuman meñ bhī akele
tarab ke maKHmase gham ke jhamele
dil-e-nadan ne lakhon khel khele
gae ek ek kar ke ham-safar sab
hamin zinda hain marne ko akele
gham-e-dauran se utni bar haare
gham-e-jaanan se jitni bar khele
dil aaKHir tab lata bhi to kab tak
qayamat the tamannaon ke rele
ye duniya KHatm ho jaegi aaKHir
na honge KHatm duniya ke jhamele
na koi ham-KHayal ai 'arsh' paya
rahe hum anjuman mein bhi akele
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 187)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.