tarab ki KHwahishon se ba-murad koi nahin
tarab kī ḳhvāhishoñ se bā-murād koī nahīñ
ġhazal tarāshte rahte haiñ daad koī nahīñ
dil-e-asīr Thikāna hai qaaf kī parī kā
ujaḌ ke bhī kahegā is ke baa'd koī nahīñ
ye aañkh kis kī tamanna meñ be-niyām huī
ai teġh-e-tez hadaf tujh ko yaad koī nahīñ
sukūt-e-dasht hai āñkhoñ meñ ranj-e-nādīda
hai harf-e-tishna-labī shabd yaad koī nahīñ
zarar kī jab koī tarġhīb kārgar na huī
baḌe rasān se bolā yaañ shaad koī nahīñ
tarab ki KHwahishon se ba-murad koi nahin
ghazal tarashte rahte hain dad koi nahin
dil-e-asir Thikana hai qaf ki pari ka
ujaD ke bhi kahega is ke ba'd koi nahin
ye aankh kis ki tamanna mein be-niyam hui
ai tegh-e-tez hadaf tujh ko yaad koi nahin
sukut-e-dasht hai aankhon mein ranj-e-nadida
hai harf-e-tishna-labi shabd yaad koi nahin
zarar ki jab koi targhib kargar na hui
baDe rasan se bola yan shad koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.