tarah tarah ke sawalat karte rahte hain
tarah tarah ke savālāt karte rahte haiñ
ab apne aap se ham baat karte rahte haiñ
atā huī hai hameñ jab se daulat-e-ehsās
ġhamoñ se sab ke mulāqāt karte rahte haiñ
ḳhushī meñ ḳhush huuñ maiñ jin kī unheñ ye kyā mālūm
ki ḳhud-kushī mire jazbāt karte rahte haiñ
nasīhateñ na kareñ ab to kyā kareñ ki 'ra.īs'
yūñhī talāfī-e-māfāt karte rahte haiñ
tarah tarah ke sawalat karte rahte hain
ab apne aap se hum baat karte rahte hain
ata hui hai hamein jab se daulat-e-ehsas
ghamon se sab ke mulaqat karte rahte hain
KHushi mein KHush hun main jin ki unhen ye kya malum
ki KHud-kushi mere jazbaat karte rahte hain
nasihaten na karen ab to kya karen ki 'rais'
yunhi talafi-e-mafat karte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.