tarah tarah se wazahat ki baat ki usne
tarah tarah se vazāhat kī baat kī us ne
ghumā-phirā ke mohabbat kī baat kī us ne
havāoñ se bhī kahā ḳhvāb dekhne ke liye
charāġh se bhī suhūlat kī baat kī us ne
fasurdagī ko fasāne kā ruup dete hue
hikāyatoñ se haqīqat kī baat kī us ne
mujhe gavāh zarūrat hai is adālat meñ
kabhī kisī se niyābat kī baat kī us ne
vo yuuñ jo lauTnā chāhe use suhūlat ho
diyā bujhā ke himāyat kī baat kī us ne
tamām sarv nigūñ-sār the pahāḌoñ par
achānak us qad-o-qāmat kī baat kī us ne
paḌe hī rah ga.e 'jāved' ham burīda qadam
gale lagā ke jo ruḳhsat kī baat kī us ne
tarah tarah se wazahat ki baat ki us ne
ghuma-phira ke mohabbat ki baat ki us ne
hawaon se bhi kaha KHwab dekhne ke liye
charagh se bhi suhulat ki baat ki us ne
fasurdagi ko fasane ka rup dete hue
hikayaton se haqiqat ki baat ki us ne
mujhe gawah zarurat hai is adalat mein
kabhi kisi se niyabat ki baat ki us ne
wo yun jo lauTna chahe use suhulat ho
diya bujha ke himayat ki baat ki us ne
tamam sarw nigun-sar the pahaDon par
achanak us qad-o-qamat ki baat ki us ne
paDe hi rah gae 'jawed' hum burida qadam
gale laga ke jo ruKHsat ki baat ki us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.