Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarannum mein gawayye ki tarah se tan paida kar

Rauf Raheem

tarannum mein gawayye ki tarah se tan paida kar

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    tarannum meñ gavayye tarah se taan paidā kar

    na.e andāz se sheroñ meñ apne jaan paidā kar

    agar kaanā raaja hai to andhoñ banā halqa

    apnī shā.irī ke vāste maidān paidā kar

    agar mash.hūr honā hai to apnī jeb kar ḳhālī

    kahīñ se ġhair matbūā koī dīvān paidā kar

    rakh apne haath meñ patte sharāb-o-jām chausar bhī

    mire hamdam safar ke vāste sāmān paidā kar

    hathelī meñ dikhā jannat murīdoñ ko ai murshid

    haqīqat meñ hai daanā to koī nādān paidā kar

    agar phD karnī ho to achchhe guide ko chun le

    adab meñ degrē le kar ik nayā haijān paidā kar

    hamārī shā.irī ko jāñchnā hai agar nāqid

    to sudh-budh shā.irī sher pahchān paidā kar

    jo kahlānā ho shā.ir to na kah ash.ār nā-mauzūñ

    kam-az-kam shā.irī meñ vazn jaan paidā kar

    'rahīm' ālām had-e-nazar tak ik samundar hai

    ho mumkin to ḳhushī is meñ ik tūfān paidā kar

    tarannum mein gawayye ki tarah se tan paida kar

    nae andaz se sheron mein apne jaan paida kar

    agar tu kana raja hai to andhon ka bana halqa

    tu apni shairi ke waste maidan paida kar

    agar mashhur hona hai to apni jeb kar KHali

    kahin se ghair matbua koi diwan paida kar

    rakh apne hath mein patte sharab-o-jam chausar bhi

    mere hamdam safar ke waste saman paida kar

    hatheli mein dikha jannat muridon ko hi ai murshid

    haqiqat mein hai dana to koi nadan paida kar

    agar phD karni ho to achchhe guide ko chun le

    adab mein degree le kar ek naya haijaan paida kar

    hamari shairi ko jaanchna hi hai agar naqid

    to sudh-budh shairi ki sher ki pahchan paida kar

    jo kahlana ho shair to na kah ashaar na-mauzun

    kam-az-kam shairi mein wazn ki tu jaan paida kar

    'rahim' aalam ka had-e-nazar tak ek samundar hai

    ho mumkin to KHushi ka is mein ek tufan paida kar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now