taras raha hun adam aarmida KHushbu ko
taras rahā huuñ adam ārmīda ḳhushbū ko
kahāñ se DhūñD ke lā.ūñ ramīda aahū ko
zahe-nasīb ki taskīn de rahā hai aaj
tumhārā husn mire ishq-e-sar-ba-zānū ko
chamak rahā hai tirī raah meñ tirī ḳhātir
hai intizār tirā har diye ko jugnū ko
sitam ki ahl-e-mohabbat bhī rah ga.e nākām
samajh na paa.e jamāl-e-hazār-pahlū ko
utārā umr-e-gurezāñ ke raste jogī ne
hamāre sar se ka.ī joginoñ ke jaadū ko
hazār hiile bahāne se 'krishn-mohan' ne
shikār-e-shauq kiyā hai nigār-e-dil-jū ko
taras raha hun adam aarmida KHushbu ko
kahan se DhunD ke laun ramida aahu ko
zahe-nasib ki taskin de raha hai aaj
tumhaara husn mere ishq-e-sar-ba-zanu ko
chamak raha hai teri rah mein teri KHatir
hai intizar tera har diye ko jugnu ko
sitam ki ahl-e-mohabbat bhi rah gae nakaam
samajh na pae jamal-e-hazar-pahlu ko
utara umr-e-gurezan ke raste jogi ne
hamare sar se kai joginon ke jadu ko
hazar hile bahane se 'krishn-mohan' ne
shikar-e-shauq kiya hai nigar-e-dil-ju ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.