tari sukhe hue honTon pe aa jaane se kya hoga
tarī sūkhe hue hoñToñ pe aa jaane se kyā hogā
bahut tarse haiñ saaqī ek paimāne se kyā hogā
jo āñkheñ dekhtī rahtī haiñ jhuTlāne se kyā hogā
nazar taḌpā rahī hai dil ko bahlāne se kyā hogā
nasheman kī binā rakkhī hai kuchh to soch kar ham ne
chamā-cham bijliyāñ har-sū chamak jaane se kyā hogā
mohabbat ne kahā tayyār kar ke pahlā dīvāna
abhī lākhoñ baneñge ek dīvāne se kyā hogā
hazāroñ inqalāb-e-dard haiñ karvaT se karvaT tak
taḌapte hī raho pahlū badal jaane se kyā hogā
'razā' dekho jo tum un kī taraf se dil meñ kahte the
tabī.at meñ zarā sā inqalāb aane se kyā hogā
tari sukhe hue honTon pe aa jaane se kya hoga
bahut tarse hain saqi ek paimane se kya hoga
jo aankhen dekhti rahti hain jhuTlane se kya hoga
nazar taDpa rahi hai dil ko bahlane se kya hoga
nasheman ki bina rakkhi hai kuchh to soch kar hum ne
chama-cham bijliyan har-su chamak jaane se kya hoga
mohabbat ne kaha tayyar kar ke pahla diwana
abhi lakhon banenge ek diwane se kya hoga
hazaron inqalab-e-dard hain karwaT se karwaT tak
taDapte hi raho pahlu badal jaane se kya hoga
'raza' dekho jo tum un ki taraf se dil mein kahte the
tabiat mein zara sa inqalab aane se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.