tari talash mein har rahnuma se baaten kin
tarī talāsh meñ har rahnumā se bāteñ kiiñ
ḳhalā se rabt baḌhāyā havā se bāteñ kiiñ
kabhī sitāroñ ne bhejā hameñ koī paiġhām
to muddatoñ meñ kisī āshnā se bāteñ kiiñ
hamārī ḳhair manāo ki aaj ḳhud us ne
baḌe ḳhulūs baḌī iltijā se bāteñ kiiñ
gunāh-gār to ramz-e-harīm tak pahuñche
savāb vāloñ ne bāñg-e-darā se bāteñ kiiñ
bahut se vo the jinhoñ ne butoñ se faiz uThā.e
bahut se vo the jinhoñ ne ḳhudā se bāteñ kiiñ
na jaane kab se sunāte the us ko ham ahvāl
nazar uThā.ī to phir ibtidā se bāteñ kiiñ
hazār sher kahe yuuñ to kahne vāloñ ne
kisī kisī ne dil-e-mubtalā se bāteñ kiiñ
tari talash mein har rahnuma se baaten kin
KHala se rabt baDhaya hawa se baaten kin
kabhi sitaron ne bheja hamein koi paigham
to muddaton mein kisi aashna se baaten kin
hamari KHair manao ki aaj KHud us ne
baDe KHulus baDi iltija se baaten kin
gunah-gar to ramz-e-harim tak pahunche
sawab walon ne bang-e-dara se baaten kin
bahut se wo the jinhon ne buton se faiz uThae
bahut se wo the jinhon ne KHuda se baaten kin
na jaane kab se sunate the us ko hum ahwal
nazar uThai to phir ibtida se baaten kin
hazar sher kahe yun to kahne walon ne
kisi kisi ne dil-e-mubtala se baaten kin
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Mouj meri sadaf sadaf) (Pg. 87)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.