tark-e-talluqat karunga main aaj se
tark-e-ta'alluqāt karūñgā maiñ aaj se
'ājiz maiñ aa gayā huuñ tumhāre mizāj se
laḳht-e-jigar nisār kareñ aur deñ jahez
koī bhī baap ḳhush nahīñ aise rivāj se
parvardigār-e-arz-o-samā merī jaan le
parvardigār tang huuñ tere samāj se
shā'ir haiñ she'r kahnā faqat hai hamārā kaam
kyā ham ko vāsta hai tire taḳht-o-tāj se
'izzat usī ko detā hai jis kā rusūḳh ho
mujh ko isī liye hai shikāyat samāj se
'afnān' apnī baat pe yak-rang tum raho
ik roz tang aa.egā vo ehtijāj se
tark-e-ta'alluqat karunga main aaj se
'ajiz main aa gaya hun tumhaare mizaj se
laKHt-e-jigar nisar karen aur den jahez
koi bhi bap KHush nahin aise riwaj se
parwardigar-e-arz-o-sama meri jaan le
parwardigar tang hun tere samaj se
sha'ir hain she'r kahna faqat hai hamara kaam
kya hum ko wasta hai tere taKHt-o-taj se
'izzat usi ko deta hai jis ka rusuKH ho
mujh ko isi liye hai shikayat samaj se
'afnan' apni baat pe yak-rang tum raho
ek roz tang aaega wo ehtijaj se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.