Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark-e-talluq kaise hua tha ab to kuchh bhi yaad nahin

Neelma Naheed Durrani

tark-e-talluq kaise hua tha ab to kuchh bhi yaad nahin

Neelma Naheed Durrani

MORE BYNeelma Naheed Durrani

    tark-e-ta.alluq kaise huā thā ab to kuchh bhī yaad nahīñ

    dil ne ye sadma kaise sahā thā ab to kuchh bhī yaad nahīñ

    jab jab tum se milnā chāhā jab jab tum ko yaad kiyā

    vo lamha kaise guzrā thā ab to kuchh bhī yaad nahīñ

    nahr kināre dhīre dhīre shaam devī utrī thī

    chāñd ne ham se kyā pūchhā thā ab to kuchh bhī yaad nahīñ

    phuul chehra taarā āñkheñ kaalī zulfeñ ḳhvāb huiiñ

    mere dil meñ kaun basā thā ab to kuchh bhī yaad nahīñ

    jīvan rāhoñ meñ ab ye saath nibhānā mushkil hai

    ham ne tum se kaise kahā thā ab to kuchh bhī yaad nahīñ

    tark-e-talluq kaise hua tha ab to kuchh bhi yaad nahin

    dil ne ye sadma kaise saha tha ab to kuchh bhi yaad nahin

    jab jab tum se milna chaha jab jab tum ko yaad kiya

    wo lamha kaise guzra tha ab to kuchh bhi yaad nahin

    nahr kinare dhire dhire sham ki dewi utri thi

    chand ne hum se kya puchha tha ab to kuchh bhi yaad nahin

    phul sa chehra tara aankhen kali zulfen KHwab huin

    mere dil mein kaun basa tha ab to kuchh bhi yaad nahin

    jiwan ki rahon mein ab ye sath nibhana mushkil hai

    hum ne tum se kaise kaha tha ab to kuchh bhi yaad nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now