tark-e-talluqat ka wada nahin kiya
tark-e-ta.alluqāt kā va.ada nahīñ kiyā
va.ada agar kiyā use puurā nahīñ kiyā
ik kaam thā zarūrī zarūrī thā ek kaam
dil mutma.in nahīñ thā lihāzā nahīñ kiyā
jaisī milī hai vaisī guzārī hai zindagī
ham ne kahīñ bhī jhūTā dikhāvā nahīñ kiyā
ḳhud ko ka.ī maqām pe ḳham to kiyā zarūr
lekin kisī ke rū-ba-rū sajda nahīñ kiyā
apnī bisāt se bhī baḌhā kar ke ḳhvāhishāt
apne dukhoñ meñ aur izāfa nahīñ kiyā
dhokā kisī ke saath jo karnā paḌā agar
vo bhī zarūratoñ se ziyāda nahīñ kiyā
ik baar bārgāh-e-ilāhī meñ kī duā
phir us se duujī baar taqāza nahīñ kiyā
jis se bhī hai faqat vo usūloñ kī jañg hai
varna kabhī kisī se bhī jhagḌā nahīñ kiyā
raḳht-e-safar meñ sab ko barābar kiyā sharīk
taqsīm-e-zād-e-rāh anokhā nahīñ kiyā
tark-e-talluqat ka wada nahin kiya
wada agar kiya use pura nahin kiya
ek kaam tha zaruri zaruri tha ek kaam
dil mutmain nahin tha lihaza nahin kiya
jaisi mili hai waisi guzari hai zindagi
hum ne kahin bhi jhuTa dikhawa nahin kiya
KHud ko kai maqam pe KHam to kiya zarur
lekin kisi ke ru-ba-ru sajda nahin kiya
apni bisat se bhi baDha kar ke KHwahishat
apne dukhon mein aur izafa nahin kiya
dhoka kisi ke sath jo karna paDa agar
wo bhi zaruraton se ziyaada nahin kiya
ek bar bargah-e-ilahi mein ki dua
phir us se duji bar taqaza nahin kiya
jis se bhi hai faqat wo usulon ki jang hai
warna kabhi kisi se bhi jhagDa nahin kiya
raKHt-e-safar mein sab ko barabar kiya sharik
taqsim-e-zad-e-rah anokha nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.