tark-e-talluqat pe majbur ho gaya
tark-e-ta.alluqāt pe majbūr ho gayā
ḳhushbū se ik gulāb bahut duur ho gayā
harf-o-kitāb aaj bhī haiñ muntazir tire
ma.anī tire firāq meñ ranjūr ho gayā
garche tamām umr rahā ḳhvāb meñ mire
dekhā jo aañkh bhar ke to mastūr ho gayā
har faisle ke beach hai shāmil tirā ḳhayāl
tū merī kā.enāt kā manshūr ho gayā
aa.ī hai aañkh apne nazāre ke beach meñ
dariyā zarā sī buuñd meñ mahsūr ho gayā
kitnī ajiib chiiz hai manzil kī tishnagī
vo paas aa gayā ki bahut duur ho gayā
jis kī galī meñ jāntā koī na thā mujhe
ik din vo mere naam se mash.hūr ho gayā
tark-e-talluqat pe majbur ho gaya
KHushbu se ek gulab bahut dur ho gaya
harf-o-kitab aaj bhi hain muntazir tere
mani tere firaq mein ranjur ho gaya
garche tamam umr raha KHwab mein mere
dekha jo aankh bhar ke to mastur ho gaya
har faisle ke beach hai shamil tera KHayal
tu meri kaenat ka manshur ho gaya
aai hai aankh apne nazare ke beach mein
dariya zara si bund mein mahsur ho gaya
kitni ajib chiz hai manzil ki tishnagi
wo pas aa gaya ki bahut dur ho gaya
jis ki gali mein jaanta koi na tha mujhe
ek din wo mere nam se mashhur ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.