tark-e-wafa ka shikwa mat kar ulfat ka iqrar na mang
tark-e-wafa ka shikwa mat kar ulfat ka iqrar na mang
Mohammad Shafi Sitapuri
MORE BYMohammad Shafi Sitapuri
tark-e-vafā kā shikva mat kar ulfat kā iqrār na maañg
ġhair to āḳhir ġhair hai us se apnoñ jaisā pyaar na maañg
bātil ke parvānoñ se haq-goī kī ummīd na kar
patthar dil rakhne vāloñ se hamdardī ke haar na maañg
maañ ke duudh kā qarz chukānā hai to paḌhne jā schōl
nanhe nanhe in hāthoñ meñ thaam qalam talvār na maañg
pyaar ke sachche phūloñ ko mahkāne kī tadbīreñ kar
jin meñ nafrat ke phal aate hoñ aise ashjār na maañg
chhoTī chhoTī bātoñ par yuuñ barham honā Thiik nahīñ
mujh se apne pyaar kā tohfa vāpas mere yaar na maañg
maiñ terā chhoTā bhaa.ī huuñ chāhe ye taslīm na kar
lekin is ghar ke āñgan meñ nafrat kī dīvār na maañg
apnī mahrūmī ke ehsāsāt rulā bhī sakte haiñ
is ke dāman meñ kāñTe hī kāñTe haiñ gulzār na maañg
maiñ bhī apnī laḳht-e-jigar ke saare qarz adā kar duuñ
tū bhī apne beTe kī shādī meñ motor car na maañg
ḳhvāboñ kī duniyā meñ pal do pal rahnā hī achchhā hai
saarī umr basar karne ko sapnoñ kā sansār na maañg
pākīza fikroñ ke zevar jin ke tan kī zīnat haiñ
fan kī un do-shīzāoñ se uryānī zinhār na maañg
duniyā bhar kī jhūTī ḳhabreñ din bhar tū paḌh saktā hai
shaam savere qurāñ paḌh le añgrezī aḳhbār na maañg
jis se terā naam ho raushan ḳhud kar aise kaam 'shafī.a'
jhūTī shohrat kī ḳhātir kam-zarfoñ se dastār na maañg
tark-e-wafa ka shikwa mat kar ulfat ka iqrar na mang
ghair to aaKHir ghair hai us se apnon jaisa pyar na mang
baatil ke parwanon se haq-goi ki ummid na kar
patthar dil rakhne walon se hamdardi ke haar na mang
man ke dudh ka qarz chukana hai to paDhne ja school
nanhe nanhe in hathon mein tham qalam talwar na mang
pyar ke sachche phulon ko mahkane ki tadbiren kar
jin mein nafrat ke phal aate hon aise ashjar na mang
chhoTi chhoTi baaton par yun barham hona Thik nahin
mujh se apne pyar ka tohfa wapas mere yar na mang
main tera chhoTa bhai hun chahe ye taslim na kar
lekin is ghar ke aangan mein nafrat ki diwar na mang
apni mahrumi ke ehsasat rula bhi sakte hain
is ke daman mein kanTe hi kanTe hain gulzar na mang
main bhi apni laKHt-e-jigar ke sare qarz ada kar dun
tu bhi apne beTe ki shadi mein motor car na mang
KHwabon ki duniya mein pal do pal rahna hi achchha hai
sari umr basar karne ko sapnon ka sansar na mang
pakiza fikron ke zewar jin ke tan ki zinat hain
fan ki un do-shizaon se uryani zinhaar na mang
duniya bhar ki jhuTi KHabren din bhar tu paDh sakta hai
sham sawere quran paDh le angrezi aKHbar na mang
jis se tera nam ho raushan KHud kar aise kaam 'shafia'
jhuTi shohrat ki KHatir kam-zarfon se dastar na mang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.