tark kar apne nang-o-nam ko hum
tark kar apne nañg-o-nām ko ham
jaate haiñ vaañ faqat salām ko ham
ḳhum ke ḳhum to luḌhā.ī yuuñ saaqī
aur yuuñ tarseñ ek jaam ko ham
maiñ kahā maiñ ġhulām huuñ bolā
jāneñ haiñ ḳhuub is ġhulām ko ham
dair o ka.aba ke biich haiñ hañste
ḳhalq ke dekh izhdihām ko ham
mutakallim haiñ ḳhaas logoñ se
karte haiñ kab ḳhitāb aam se ham
rūThne meñ bhī lutf hai 'inshā'
sub.h gar rūThe vo to shaam ko ham
tark kar apne nang-o-nam ko hum
jate hain wan faqat salam ko hum
KHum ke KHum to luDhai yun saqi
aur yun tarsen ek jam ko hum
main kaha main ghulam hun bola
jaanen hain KHub is ghulam ko hum
dair o kaba ke bich hain hanste
KHalq ke dekh izhdiham ko hum
mutakallim hain KHas logon se
karte hain kab KHitab aam se hum
ruThne mein bhi lutf hai 'insha'
subh gar ruThe wo to sham ko hum
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.