tark kar diya humne husn par ghazal likhna
tark kar diyā ham ne husn par ġhazal likhnā
vaqt kā taqāza hai mas.aloñ ke hal likhnā
hai badan to insāñ kā lazzatoñ kā ik daldal
lazzatoñ ke daldal meñ ruuh ko kañval likhnā
zindagī ke safhoñ par ḳhuun aur pasīne se
aaj bas amal likhnā phir hasīn kal likhnā
ūñche ūñche ohde haiñ haath kaT bhī sakte haiñ
be-zamīr logoñ par soch kar ġhazal likhnā
hādsoñ meñ bach jaanā mo.ajiza lage jab bhī
saañs kī rifāqat ko nekiyoñ kā phal likhnā
ḳhud-navisht jab apnī tum 'shakīl' likhoge
zindagī ke māthe kā ek ek bal likhnā
tark kar diya hum ne husn par ghazal likhna
waqt ka taqaza hai masalon ke hal likhna
hai badan to insan ka lazzaton ka ek daldal
lazzaton ke daldal mein ruh ko kanwal likhna
zindagi ke safhon par KHun aur pasine se
aaj bas amal likhna phir hasin kal likhna
unche unche ohde hain hath kaT bhi sakte hain
be-zamir logon par soch kar ghazal likhna
hadson mein bach jaana moajiza lage jab bhi
sans ki rifaqat ko nekiyon ka phal likhna
KHud-nawisht jab apni tum 'shakil' likhoge
zindagi ke mathe ka ek ek bal likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.