tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise
tark kī jā.egī muddat kī rifāqat kaise
chhoḌ degī mujhe tū ai shab-e-furqat kaise
un se pursish hai mire ḳhuuñ kī nadāmat mujhe hai
muñh par ab Daal luuñ dāmān-e-qayāmat kaise
roz ik taaza sitam roz na.ī ek jafā
kahte ho lab pe tire aa.ī shikāyat kaise
ḳhāna-e-dil se kabhī us ne nikāle nahīñ paañv
marte dam niklegī dekhūñ mirī hasrat kaise
josh par haiñ vo umangeñ haiñ javānī kī hai mauj
dekh kar un ko na lahrā.e tabī.at kaise
zikr-e-tārīkī-e-qabr aaya ki ye yaad aa.ī
bhūle dil se shab-e-furqat kī musībat kaise
chaal uḌā lī hai jo terī to falak par hai dimāġh
naaz ushshāq se kartī hai qayāmat kaise
apnī nādārī pe kyoñ daaġh lagā.e tū ne
te pe rakh chhoḌe haiñ do nuqte ye usrat kaise
zab.h ke vaqt bhī muñh mujh se vo phere hī rahe
dekh letā hai kisī kī koī sūrat kaise
shauq phir mujh ko madīne kā huā ai 'akbar'
dekhiye hotī hai rauze kī ziyārat kaise
tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise
chhoD degi mujhe tu ai shab-e-furqat kaise
un se pursish hai mere KHun ki nadamat mujhe hai
munh par ab Dal lun daman-e-qayamat kaise
roz ek taza sitam roz nai ek jafa
kahte ho lab pe tere aai shikayat kaise
KHana-e-dil se kabhi us ne nikale nahin panw
marte dam niklegi dekhun meri hasrat kaise
josh par hain wo umangen hain jawani ki hai mauj
dekh kar un ko na lahrae tabiat kaise
zikr-e-tariki-e-qabr aaya ki ye yaad aai
bhule dil se shab-e-furqat ki musibat kaise
chaal uDa li hai jo teri to falak par hai dimagh
naz ushshaq se karti hai qayamat kaise
apni nadari pe kyon dagh lagae tu ne
te pe rakh chhoDe hain do nuqte ye usrat kaise
zabh ke waqt bhi munh mujh se wo phere hi rahe
dekh leta hai kisi ki koi surat kaise
shauq phir mujh ko madine ka hua ai 'akbar'
dekhiye hoti hai rauze ki ziyarat kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.