tark-o-talab ke hangamon ko ishq samajhna wahshat hai
tark-o-talab ke hangāmoñ ko ishq samajhnā vahshat hai
ishq tahayyur be-pāyāñ hai ishq mujassam hairat hai
tum to yaqīnan jānte hoge vāqa.ī kyā ye haqīqat hai
aksar log kahā karte haiñ ishq baḌā bad-qismat hai
qāfile vaalo nā-vāqif ho shāyad in asrār se tum
rāh-e-talab meñ gāhe-gāhe gumrāhī bhī ne.amat hai
ham dīvāne kyā batlā.eñ ham se na pūchho kyoñ yaaro
har tahzīb kī mehrāboñ meñ ḳhūn-e-bashar kī rangat hai
fikr nahīñ hai us unsur kā naam mohabbat hai shāyad
jis se tahzībeñ bantī haiñ jis se ziist ibārat hai
raat ne sāz-e-mah-o-anjum par kitnī loriyāñ chheḌī haiñ
jī kartā hai ab so jaa.eñ ai ġham-e-hijr ijāzat hai
duniyā ko irfān-e-mohabbat dene vāloñ meñ 'hairat'
jaane kitne log haiñ jin ko apne aap se nafrat hai
tark-o-talab ke hangamon ko ishq samajhna wahshat hai
ishq tahayyur be-payan hai ishq mujassam hairat hai
tum to yaqinan jaante hoge waqai kya ye haqiqat hai
aksar log kaha karte hain ishq baDa bad-qismat hai
qafile walo na-waqif ho shayad in asrar se tum
rah-e-talab mein gahe-gahe gumrahi bhi neamat hai
hum diwane kya batlaen hum se na puchho kyon yaro
har tahzib ki mehrabon mein KHun-e-bashar ki rangat hai
fikr nahin hai us unsur ka nam mohabbat hai shayad
jis se tahziben banti hain jis se zist ibarat hai
raat ne saz-e-mah-o-anjum par kitni loriyan chheDi hain
ji karta hai ab so jaen ai gham-e-hijr ijazat hai
duniya ko irfan-e-mohabbat dene walon mein 'hairat'
jaane kitne log hain jin ko apne aap se nafrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.