Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark shauq-e-sharab kya karte

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

tark shauq-e-sharab kya karte

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

MORE BYSyed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

    tark shauq-e-sharāb kyā karte

    zindagī ko ḳharāb kyā karte

    jabr zauq-e-nazar pe karte rahe

    husn ko be-hijāb kyā karte

    jab thī badlī huī nazar un

    phir savāl-o-javāb kyā karte

    hai ba-har-shakl ek jalva

    ham koī intiḳhāb kyā karte

    gar basāte na ke vīrāna

    aur ḳhāna-ḳharāb kyā karte

    baat ruḳh badal diyā āḳhir

    ham unheñ lā-javāb kyā karte

    dil thā ehsās-mund pahlū meñ

    husn se ijtināb kyā karte

    zehniyat apnī jo badal na sakeñ

    'ashk' vo inqalāb kyā karte

    tark shauq-e-sharab kya karte

    zindagi ko KHarab kya karte

    jabr zauq-e-nazar pe karte rahe

    husn ko be-hijab kya karte

    jab thi badli hui nazar un ki

    phir sawal-o-jawab kya karte

    hai ba-har-shakl ek hi jalwa

    hum koi intiKHab kya karte

    gar basate na ja ke virana

    aur KHana-KHarab kya karte

    baat ka ruKH badal diya aaKHir

    hum unhen la-jawab kya karte

    dil tha ehsas-mund pahlu mein

    husn se ijtinab kya karte

    zehniyat apni jo badal na saken

    'ashk' wo inqalab kya karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now