tartib-o-tawazun ka na toDenge bharam hum
tartīb-o-tavāzun kā na toḌeñge bharam ham
ik roz saf-e-dahr se ho jā.eñge kam ham
jazboñ ke sulagte hue ḳhāshāk meñ gum tum
ḳhvāhish kī laraztī huī āvāz-e-aham ham
ai shāḳh-e-tamannā tujhe tanhā nahīñ karte
ḳhanjar tujhe paḌte haiñ pa hote haiñ qalam ham
us ne to yuuñ hī pūchh liyā thā ki koī hai
mahfil meñ uThā shor ba-yak-laḳht ki ham ham
sahrā ke tab-o-tāb kī baḳhshish hai ki tū hai
jhhaTkārte phirte haiñ in āñkhoñ se jo nam ham
ik ḳhvāb machaltā hai jo ban ban ke lahū tū
ik dard jo bharne nahīñ detā hameñ dam ham
mausam bhī kuchh aisā hai ki Dhalne nahīñ detā
kuchh tere taraf-dār bhī haiñ shām-e-alam ham
zanjīr-e-girāñ-bār hai shāḳh-e-rag-e-jāñ ab
mushkil se chaleñge bhī to do chaar qadam ham
siine meñ dabī rakhte haiñ bhūlī huī ik shakl
palkoñ pe uThā rakhte haiñ bār-e-shab-e-ġham ham
tartib-o-tawazun ka na toDenge bharam hum
ek roz saf-e-dahr se ho jaenge kam hum
jazbon ke sulagte hue KHashak mein gum tum
KHwahish ki larazti hui aawaz-e-aham hum
ai shaKH-e-tamanna tujhe tanha nahin karte
KHanjar tujhe paDte hain pa hote hain qalam hum
us ne to yun hi puchh liya tha ki koi hai
mahfil mein uTha shor ba-yak-laKHt ki hum hum
sahra ke tab-o-tab ki baKHshish hai ki tu hai
jhhaTkarte phirte hain in aankhon se jo nam hum
ek KHwab machalta hai jo ban ban ke lahu tu
ek dard jo bharne nahin deta hamein dam hum
mausam bhi kuchh aisa hai ki Dhalne nahin deta
kuchh tere taraf-dar bhi hain sham-e-alam hum
zanjir-e-giran-bar hai shaKH-e-rag-e-jaan ab
mushkil se chalenge bhi to do chaar qadam hum
sine mein dabi rakhte hain bhuli hui ek shakl
palkon pe uTha rakhte hain bar-e-shab-e-gham hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.