Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarz-e-majhul sar-e-chashm numudar hue

Shabbeer Ehram

tarz-e-majhul sar-e-chashm numudar hue

Shabbeer Ehram

MORE BYShabbeer Ehram

    tarz-e-maj.hūl sar-e-chashm numūdār hue

    phuul phuul sar-e-chashm numūdār hue

    harf jitne bhī ravāna the sū-e-arsh-e-barīñ

    ho ke maqbūl sar-e-chashm numūdār hue

    chashm-e-hairāñ ki shab-e-vasl ma.e tishna-dahan

    chashm-e-mablūl sar-e-chashm numūdār hue

    ek aajiz ko thamā.ī ga.ī shamshīr-e-anā

    phir jo maqtūl sar-e-chashm numūdār hue

    marsiya hai ki ka.ī phuul se dilkash chehre

    oḌh kar dhuul sar-e-chashm numūdār hue

    kīna-o-buġhz-o-anā hirs-o-adāvat ranjish

    kitne mahsūl sar-e-chashm numūdār hue

    dard-e-āshob ḳhalish shabnam-o-taskīñ 'ehrām'

    ban ke mahlūl sar-e-chashm numūdār hue

    tarz-e-majhul sar-e-chashm numudar hue

    phul hi phul sar-e-chashm numudar hue

    harf jitne bhi rawana the su-e-arsh-e-barin

    ho ke maqbul sar-e-chashm numudar hue

    chashm-e-hairan ki shab-e-wasl mae tishna-dahan

    chashm-e-mablul sar-e-chashm numudar hue

    ek aajiz ko thamai gai shamshir-e-ana

    phir jo maqtul sar-e-chashm numudar hue

    marsiya hai ki kai phul se dilkash chehre

    oDh kar dhul sar-e-chashm numudar hue

    kina-o-bughz-o-ana hirs-o-adawat ranjish

    kitne mahsul sar-e-chashm numudar hue

    dard-e-ashob KHalish shabnam-o-taskin 'ehram'

    ban ke mahlul sar-e-chashm numudar hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now