tasalsul paemali ka milega
tasalsul pā.emālī kā milegā
sarīr-ārā ḳhizāñ hai kyā milegā
chalo dushman ko siine se lagā leñ
kahāñ is shahr meñ apnā milegā
ḳharāba hai ki dasht-e-nainavā hai
koī zaḳhmī koī pyāsā milegā
mire lashkar kī miTTī dūsrī hai
saf-e-a.adā meñ vo bhī jā milegā
nahīñ be-vaj.h is girdāb meñ huuñ
kanār-e-āb bhī dariyā milegā
nahīñ be-sūd nāze-e-ġham uThānā
hisāb-e-dard hai duunā milegā
'amīn'-ashraf kī hai pahchān ye bhī
bharī mahfil meñ vo tanhā milegā
tasalsul paemali ka milega
sarir-ara KHizan hai kya milega
chalo dushman ko sine se laga len
kahan is shahr mein apna milega
KHaraba hai ki dasht-e-nainawa hai
koi zaKHmi koi pyasa milega
mere lashkar ki miTTi dusri hai
saf-e-ada mein wo bhi ja milega
nahin be-wajh is girdab mein hun
kanar-e-ab bhi dariya milega
nahin be-sud naze-e-gham uThana
hisab-e-dard hai duna milega
'amin'-ashraf ki hai pahchan ye bhi
bhari mahfil mein wo tanha milega
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 42)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.