tasawwur ki dahliz par thi khaDi
tasavvur kī dahlīz par thī khaḌī
kaleje meñ kyoñ tiir ban kar gaḌī
farozāñ huī ḳhalvat-e-māhtāb
mujhe yaad hai vo samāñ vo ghaḌī
jhamakne lagī arsh-e-a.azam kī jot
nigāhoñ pe ik chhūT aisī paḌī
jo chāhā thā māñgā na thā mil gayā
laḌī aañkh us se to aisī laḌī
kabhī khilkhilā kar hañsā bhī karo
lagā.ī bahut āñsuoñ kī jhaḌī
tasawwur ki dahliz par thi khaDi
kaleje mein kyon tir ban kar gaDi
farozan hui KHalwat-e-mahtab
mujhe yaad hai wo saman wo ghaDi
jhamakne lagi arsh-e-azam ki jot
nigahon pe ek chhuT aisi paDi
jo chaha tha manga na tha mil gaya
laDi aankh us se to aisi laDi
kabhi khilkhila kar hansa bhi karo
lagai bahut aansuon ki jhaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.